tujh se bhi hasin hai tire afkar ka rishta
tu maang le mujh se mire ash.ar ka rishta
vo dhuup men nikhra hua billor sa paikar
chandi sa chamakta hua didar ka rishta
tanha.i men pahunche to sabhi the tahi-daman
bazar men chhoḌ aa.e the bazar ka rishta
ik aur girah saans ki Dori men paḌegi
yaad aaya mujhe bhula hua pyaar ka rishta
afkar ke jangal men khaḌa soch raha huun
kis tarah ma.ani se ho iz.har ka rishta
kyuun yaad dilate ho ‘rashid’ un ko ye bandhan
ab kaun nibhata hai ye bekar ka rishta
Leave a Reply