husn kis roz ham se saaf hua
gunah-e-ishq kab muaaf hua
le liya shukr kar ke saaqi se
dard is men hua ki saaf hua
tegh-e-qatil par apna khuun jam kar
makhmal-e-surkh ka ghilaf hua
zahr parhez ho gaya mujh ko
dard darman se almuzaf hua
khaksari ki ho chuki mearaj
siina apna zamin-e-saf hua
kamar-e-yar ne dikhai aankh
mardum-dida khal-e-naf hua
vaada jhuta nakarda mard nahin
qaul se feal jab khilaf hua
fatiha ko jo vo pari aai
sang-e-qabr apna koh-qaf hua
us kamar ke subut men aajiz
fikr kar kar ke mushigaf hua
rind-mashrab huun mujh ko kya hove
mazhabon men jo ikhtilaf hua
vo dahan huun na nikla harf-e-ghurur
vo zaban huun na jis se laaf hua
gird is kucha ke phira ‘atish’
haaji se kaaba ka tavaf hua
Leave a Reply