ḳhud ko dekhun ki main jahan dekhun
ik nazar se kahan kahan dekhun
sar ko rakh kar zamin ke qadmon par
kab talak su-e-asman dekhun
ho ke bhi tu vahan nahin milta
tujh ko ja kar jahan jahan dekhun
main isi kashmakash men Duub gaya
paar utrun ki darmiyan dekhun
sang bhi hain shikasta shishe bhi
jism dekhun ki apni jaan dekhun
e.atibar aur bhi ḳhuda pe baḌhe
jab bhi main surat-e-butan dekhun
be-niyaz-e-bahar phir huun ‘nihal’
aarzu hai ki phir ḳhizan dekhun
Leave a Reply