ho teri yaad ka dil men guzar ahista ahista
kare ye chand sahra men safar ahista ahista
bahut tezi se duniya chhin legi jab tujhe mujh se
tu phir is dil men aise mat utar ahista ahista
ki ham dhoke men rakkhen doston ko ḳhush-kalami se
hamen aa hi gaya ye bhi hunar ahista ahista
kahin se ek virani ka saaya phailta aaya
hue be-rang sab divar-o-dar ahista ahista
na TuuTe aur kuchh din tujh se rishta is tarah mera
mujhe barbad kar de tu magar ahista ahista
ye ḳhamoshi yahan ka husn hai rakhna ḳhayal is ka
‘kamal’ is dasht-e-viran se guzar ahista ahista
Leave a Reply