divana kar ke mujh ko tamasha kiya bahut
teri talash ne mujhe rusva kiya bahut
kya kahiye us ke ru-ba-ru aansu nikal paḌe
ham ne to zabt-e-gham ka irada kiya bahut
lekin hamara dida-e-bina bhi kam na tha
halanki us ne bazm men parda kiya bahut
bosa jabin ko pa-e-sanam ka na mil saka
laghzish ne be-ḳhudi ka bahana kiya bahut
suraj ne dhuul kirnon ki ankhon men jhonk di
mat puchh raushni ne andhera kiya bahut
us ki had-e-kamal ta.ayyun na kar sake
ahl-e-ḳhirad ne us ka ahata kya bahut
Leave a Reply