• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sach Ko Kahne Ka Hausla Hai Mujhe

Sach Ko Kahne Ka Hausla Hai Mujhe

sach ko kahne ka hausla hai mujhe

apne anjam ka pata hai mujhe

niind se ḳhvab ho ga.e ruḳhsat

zindagi jaise ik saza hai mujhe

us ne raghbat se haath khinch liya

ab kahan koi sochta hai mujhe

dosti ka bharam hi toḌ diya

in dinon jaane kya hua hai mujhe

jis ki nindon men ḳhvab mere the

jab se jaaga hai DhunDhta hai mujhe

chand jalte saval bujhta dil

zindagi tu ne kya diya hai mujhe

saare rishte jab us ne toḌ liye

muḌ ke ab kya pukarta hai mujhe

ab huun bujhte diye sa suraj tha

in havalon ko sochna hai mujhe

kyuun ‘tapish’ uljhanon men uljha hai

is ke baare men janna hai mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHauf-Zada the Kaun Se Log in Sher-Dileron Se

usMein Rah Kar Uske Bahar Jhankna Achchha Nahin

Ye Mohabbat Ka Sila Tha Ishq Ka Anjam Tha

seema-gupta

Aag Pani Bhi Hai Mitti Hai Hawa Hai Mujh Mein

nazeer-akbarabadi

Saqi Se Jo Humne Mai Ka Ek Jam Liya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet