
Poet
rind mansub bahar-kaif raha jaam ke saath
zikr aa jaata hai apna bhi tire naam ke saath
dil ne ehsas-e-tabahi ko panapne na diya
jaam gardish men raha gardish-e-ayyam ke saath
zindagi ko kabhi tartib mayassar na hui
ruḳh badalte rahe halat har ik gaam ke saath
aap to aap zamana hai gurezan ham se
kaun rakhta hai ta.alluq kisi badnam ke saath
hosh ko fursat-e-ehsas kahan baaqi thi
aankh chalti rahi saaqi ki har ik jaam ke saath
mashghala koi nahin bada-gusari ke baghair
aisa manus hua dil nigah-o-jam ke saath
shamil-e-hal rahin un ki jafa.en ‘maz.har’
zindagi varna guzarti miri aram ke saath

Leave a Reply