• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Mrs-Sala-Manka

Mrs-Sala-Manka

noon-meem-rashid

khuda hashr men ho madad-gar mera

ki dekhi hain main ne mrs.-sala-manka ki ankhen

mrs.-sala-manka ki ankhen

ki jin ke ufuq hain junubi samundar ki niili rasai se aage

junubi samundar ki niili rasai

ki jis ke jazire hujum-e-sahar se darakhshan

darakhshan jaziron men zartab o unnab o qurmuz parindon ki jaulan-gahen

aise phaili hui jaise jannat ke daman

parinde azal aur abad ke mah o saal men bal-afshan!

khuda hashr men ho madad-gar mera

ki main ne liye hain mrs.-sala-manka ke honton ke bose

vo bose ki jin ki halavat ke chashme

shumali zaminon ke zartab o unnab o qurmuz darakhton

ke madhosh baghon se aage

jahan zindagi ke rasida shagufon ke sinon

se khvabon ke ram-dida zambur lete hain ras aur piite hain vo

ki jis ke nashe ki jila se

zamanon ki nadida mehrab ke do kinaron ke niche

hain yak-bargi guunj uthte khala o mala ke jalajil

jalajil ke naghme baham aise paivast hote hain jaise

mrs.-sala-manika ke lab mere lab se!

khuda hashr men ho madad-gar mera

ki dekha hai main ne

mrs.-sala-manka ko bistar men shab bhar barahana

vo gardan vo bahen vo ranen vo pistan

ki jin men junubi samundar ki lahron ke tufan

shumali darakhton ke baghon ke phulon ki khushbu

jahan dam-ba-dam itr o tufan baham aur gurezan

mrs.-sala-manika ka jism-e-barhana

ufuq-ta-ufuq jaise angur ki bel jis ki

ghiza asmanon ka nuur aur hasil

vo lazzat ki jis ka nahin koi payan

khuda ke siva kaun hai pak-daman!

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Zindagi Aisi Saza Hai Ki Saza Bhi to Nahin

Ab Nind Kahan Aaankhon Mein Shoala Sa Bhara Hai

poet

Sab Gharon Mein to Charaghon Ka Ujala Hoga

Itna Bhi Ho Na Zauq-E-Tajassus Nigah Mein

Kaise Is Shahr Mein Rahna Hoga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet