• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bhare Hain Us Pari Mein Ab To Yaro Sar-Ba-Sar Moti

Bhare Hain Us Pari Mein Ab To Yaro Sar-Ba-Sar Moti

nazeer-akbarabadi

bhare hain us pari men ab to yaaro sar-ba-sar moti

gale men kaan men nath men jidhar dekho udhar moti

koi bundon se mil kar kaan ke narmon men hilta hai

ye kuchh lazzat hai jab apna chhidate hain jigar moti

vo hanste hain to khulta hai javahir-khana-e-qudrat

idhar laal aur udhar nilam idhar marjan udhar moti

falak par dekh kar taare bhi apna hosh khote hain

pahan kar jis ghadi baithe hai vo rashk-e-qamar moti

jo kahta ho are zalim tuk apna naam to batla

to hans kar mujh se ye kahti hai vo jaadu nazar moti

vo dariya motiyon ka ham se rutha ho to phir yaaro

bhala kyunkar na barsa de hamari chashm-e-tar moti

‘nazir’ is rekhte ko sun vo hans kar yuun lagi kahne

agar hote to main deti tujhe ik thaal bhar moti

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Gham-E-Dauran Gham-E-Jaanan Gham-E-Jaan Hai Ki Nahin

najm-aafandi

Hasti Koi Aisi Bhi Hai Insan Ke Siwa Aur

afzal-naved

Ek dhan Ko Ek dhan Se Alag Kar Lun Aur Gaun

Rasta Koi Safar Koi Masafat Koi

Phul Sa Ek Khila Hai Aankhon Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet