jafa pe shukr ka ummid-var kyuun aaya
miri vafa ka use e’tibar kyuun aaya
ye dil ki baat hi munh se ada nahin hoti
main kya kahun ki yahan baar baar kyuun aaya
ḳhayal-e-pursish-e-mahshar se vo hua maghmum
nazar ke samne mera mazar kyuun aaya
kahan vo haath main pa.un hasin laḌkon ke
saḌi nahin to su-e-kohsar kyuun aaya
taḌap thi mar ke bhi mayyat pe shayad aaya vo
nahin ye baat to dil ko qarar kyuun aaya
hua main ḳhaak to vo laḌ raha hai andhi se
ki tere saath mire ghar ghubar kyuun aaya
vo intizar ki lazzat bhi le gaya ai ‘shauq’
hava ke ghoḌe pe zalim savar kyuun aaya
Leave a Reply