phulon ne jab bhi aankh kabhi ashk-bar ki
uTThi hain siskiyan ka.i bad-e-bahar ki
ahd-e-vafa bhi va.ada-e-farda men Dhal gaya
ab rut guzar ga.i hai tire e’tibar ki
gar hausla nahin ye to vapas palaT chalo
manzil bahut kaḌi hai vafa ke dayar ki
ba-iḳhtiyar ho ke bhi be-iḳhtiyar hain
kyon baat us ne aaj yahi baar baar ki
har hadisa qubul kiya hai ye soch kar
hain hadsat ne.amaten parvardigar ki
Leave a Reply