de do na ek baar mira saath jan-e-man
aati nahin hai niind mujhe raat jan-e-man
main ne tumhari galiyan hans ke qubul ki
jaana nahin tha mujh ko havalat jan-e-man
main ne bhi un se zar na liya soch kar yahi
leta nahin main aaj bhi khairat jan-e-man
main ne kiya hai apne ko khud ek aaina
lagne lagi hai zindagi saughat jan-e-man
rusvaiyon ke dar se raha tum se duur main
samjhi nahin kisi ne miri baat jan-e-man
maan baap ne ‘adarsh’ ko ye fan bhi sikhaya
karta nahin huun aaj bhi main ghaat jan-e-man
Leave a Reply