sa.ilana un ke dar par jab mira jaana hua
hans ke bole shah-sahib kis taraf aana hua
TuuTe but masjid bani mismar but-ḳhana hua
jab to ik surat bhi thi ab saaf virana hua
har jagah maujud samjha us ko sajda kar liya
ḳhvah masjid ḳhvah girja ḳhvah but-ḳhana hua
baaz rakhti hai hamen ḳhidmat se az-ḳhud-raftagi
aan niklenge kabhi gar aap main aana hua
beshtar bulbul se tha sar men mire shor-e-junun
fasl-e-gul aane na paa.i thi ki divana hua
garmi-e-furqat men jab ashkon se mizhgan tar huiin
marduman-e-chashm ke rahne ko ḳhas-ḳhana hua
kar-ḳhane jitne hain duniya ke sab hain be-sabat
aankh se jo aaj dekha kal vo afsana hua
hanste hanste dil-lagi ke vaste naapa jo aaj
sarv ka qad us sahi-qamat ke ta-shana hua
yusuf-e-misr-e-mohabbat kaisa arzan bik gaya
naqd-e-dil qimat hui ik bosa bai.ana hua
jal ke us ne jaan di ye naale kar ke rah ga.i
ishq-e-bulbul par bhi faa.iq ishq-e-parvana hua
ishq-e-dandan ki ḳhata par qatl jo mujh ko kiya
is liye shamshir-e-qatil men bhi dandana hua
main ne jaana kasa-e-sar hai kisi mai-ḳhvar ka
vazhguna dast-e-saqi men jo paimana hua
muzhda-bad ai bada-ḳhvaro daur-e-va.iz ho chuka
madrase khole ga.e ta.amir mai-ḳhana hua
‘rind’ huun roz-e-azal se huun main varafta-mizaj
is liye taur-e-suḳhan bhi apna rindana hua
Leave a Reply