dana.iyan aTak ga.iin lafzon ke jaal men
itne javab gum hain mire ik saval men
dariya bas ik qadam kabhi sahil ki samt aa
dekhunga zor kitna hai tere ubaal men
ki ehtiyat laakh magar haal ye hua
aana tha jin ko aa hi ga.e teri chaal men
ji chahta hai tark-e-mohabbat ko baar baar
aata hai ek aisa bhi lamha visal men
ab kya usul-e-dasht-navardi ki baat ho
uljhe paḌe hain paanv shikari ke jaal men
Leave a Reply