rat-din pur-shor sahil jaisa manzar mujh men tha
tum se pahle maujzan koi samundar mujh men tha
aaj teri yaad se Takra ke TukḌe ho gaya
vo jo sadiyon se luḌhakta ek patthar mujh men tha
jite-ji sahn-e-mazar-e-dost tha mera vajud
ik shikasta sa piyala aur kabutar mujh men tha
main kahan jaata dikhane apne andar ka kamal
jo kabhi mujh par na khul paaya vo jauhar mujh men tha
DhunDhta phirta huun us ko raat din ḳhud men ‘hasan’
vo jo kal tak mujh se bhi ik shaḳhs behtar mujh men tha
Leave a Reply