dasht ne talib-e-gulzar kiya hai mujh ko
meri vahshat ne gunahgar kiya hai mujh ko
gosha-e-zat men abad hai duniya meri
ḳhud ki hasti ne giraftar kiya hai mujh ko
naql-o-harakat ne banaya hai tamasha mera
bad-havasi ne saza-var kiya hai mujh ko
ab mire kaam jo aa.e to hunar bhi kaise
dil ne shohrat ka parastar kiya hai mujh ko
jism ke sehr se nikla to ye jaana main ne
ruuh ne surat-e-afkar kiya hai mujh ko
kya bata.un ki azal se hai tamanna jis ki
us ne kis kis ka talabgar kiya hai mujh ko
ḳhud se laḌta huun to lagta hai ki ran men ‘rahat’
vaqt ne qafila-salar kiya hai mujh ko
Leave a Reply