• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Fitrat Ki Haqiqat Hai Jo jhuTlai Nahin Jati

Ye Fitrat Ki Haqiqat Hai Jo jhuTlai Nahin Jati

ye fitrat ki haqiqat hai jo jhuTla.i nahin jaati

hai kya shai putla-e-ḳhaki men jo paa.i nahin jaati

huzur-e-husn men ye ishq ki ḳhuddariyan nadan

tamanna arz ki jaati hai farma.i nahin jaati

mujhe ai dil usi kuche usi mahfil men phir le chal

tabi.at mai-kade men mujh se bahla.i nahin jaati

mira rona mire bas men nahin hai naseh-e-mushfiq

ghaTa ye ḳhud baras jaati hai barsa.i nahin jaati

zara sa guftugu men moḌ ho to chaunk uThti huun

miri divangi se itni dana.i nahin jaati

na vo divangi hai ab na vo sahra na vo kanTe

magar talvon se shan-e-abla-pa.i nahin jaati

un ankhon se ziya-e-mehr ki ummid ai ‘raje’

jin ankhon men mohabbat ki ramaq paa.i nahin jaati

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jaane Kyun Baaton Se Jalte Hain Gile Karte Hain Log

Raushni Rangon Mein simTa Hua Dhoka Hi Na Ho

Bewafa Tujhse Kuchh Gila Hi Nahin

Hum Duniya Se Jab Tang Aaya Karte Hain

Wasl Ki Banti Hain in Baaton Se Tadbiren Kahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet