sab gharon men to charaghon ka ujala hoga
lekin afsurda faqat raat ka chehra hoga
saari parchha.iyan goshon men dubak ja.engi
suraj ubhrega to ye gaanv akela hoga
ham to vabasta rahe gham se vafa ke maare
gham ne kya janiye kyunkar hamen chaha hoga
jab khili hongi tamanna ke shajar par kaliyan
dasht-e-ummid men tufan sa uTTha hoga
koi saaya sa hai chup chaap dariche men khaḌa
apni ulfat ka hi shayad vo hayula hoga
Leave a Reply