tujhe apna banana chahta huun
magar khud ko bhi paana chahta huun
tumhari yaad ko dil men basa kar
main sab kuchh bhuul jaana chahta huun
zara meri taraf bhi ho tavajjoh
main hal-e-dil sunana chahta huun
jo har insan ko sarshar kar de
main aisa giit gaana chahta huun
main thukra kar jahan ki saari daulat
faqat ab tujh ko paana chahta huun
tumhen khushiyan ata karne ki khatir
main apna gham chhupana chahta huun
mohabbat zindagi hai apni ‘ahsan’
yahi sab ko batana chahta huun
Leave a Reply