raat ke gumbad men yadon ka basera ho gaya hai
chand ki qindil jalte hi ujala ho gaya hai
ḳhamushi ki andhiyan baghi nazar aati hain mujh ko
raat kaali hai to sannaTa bhi kaala ho gaya hai
ab mohabbat hai muravvat hai na ab inkisari
aaj ke is daur men har shaḳhs nanga ho gaya hai
qissa-e-reg-e-ravan jab andhiyon ki zad pe aaya
dhund ka hairat-zada aaseb tanha ho gaya hai
Leave a Reply