mausam-e-gul men nahin izzat-o-shan-e-vaiz
kaun is fasl men sunta hai bayan-e-vaiz
dukhtar-e-raz ki mazammat ka irada to kare
khinch lunga abhi guddi se zaban-e-vaiz
aaj rindan-e-qadah-nosh ko achchhi sujhi
mai-kashi ke liye taaka hai makan-e-vaiz
mausam-e-gul men jo sunta hun” to main kahta huun
hai sada-e-sag-e-divana bayan-e-vaiz
ghul-e-sahra-e-shariat use batla denge
ham se puchhe to koi nam-o-nishan-e-vaiz
daur rindon ka hai chalti hai shab-o-roz sharab
ahd-e-qazi hai na baaqi na zaban-e-vaiz
qatl kar daliye har-dam ye khayal aata hai
josh khata hai lahu sun ke bayan-e-vaiz
kabk ki tarah ye lote abhi angaron par
bhtiyan mai ki jo hon zahr-e-makan-e-vaiz
shukr hai mausam-e-gul ka asar itna to hua
mai-kada ab nazar aata hai makan-e-vaiz
badle dumbe ke karen rind usi ko qurban
id-e-qurban men jo sun paaen bayan-e-vaiz
‘arsh’ is fasl-e-junun men mire saude ki tarah
aur badh jaae ilahi khafaqan-e-vaiz
Leave a Reply