us bazm men kya koi sune raa.e hamari
ye baat ye auqat kahan haa.e hamari
ham chahte kya hain nahin ma.alum kisi ko
kis tarah tabi.at koi bahla.e hamari
guzri hai javani baḌi be-rah-ravi men
ai kaash za.ifi bhi guzar jaa.e hamari
is shahr men rahna hai bayaban men rahna
surat nahin pahchante ham-sa.e hamari
ye ghar ye gali zehn men kar lijiye mahfuz
mumkin hai kabhi aap ko yaad aa.e hamari
Leave a Reply