duur tak ik sarab dekha hai
vahshaton ka shabab dekha hai
zau-fishan kyuun hain dasht ke zarre
kya koi mahtab dekha hai
baam o dar par hai sholagi raqsan
husn ko be-naqab dekha hai
nama-bar un se bas yahi kahna
nim-jan ik gulab dekha hai
ab zamin par qadam nahin Tikte
asman par uqaab dekha hai
meri nazron men bankpan kaisa
jagta huun ki ḳhvab dekha hai
Leave a Reply