• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shab-E-Siyah Ka Aanchal Sarak Chuka Hai Bahut

Shab-E-Siyah Ka Aanchal Sarak Chuka Hai Bahut

shab-e-siyah ka anchal sarak chuka hai bahut

andheri raat men jugnu chamak chuka hai bahut

ra.is-e-shahr mira aur imtihan na le

ki mere sabr ka saghar chhalak chuka hai bahut

na kaam aa.egi ab sham-e-dil ki tabani

ta.alluqat ka sho.ala bhaḌak chuka hai bahut

chale bhi aao ki mil kar mana.en jashn-e-bahar

hamare shauq ka ghuncha chaTak chuka hai bahut

tumhare rishte ki ab parvarish nahin mumkin

ki mere dil men ye kanTa khaTak chuka hai bahut

mila na kuchh bhi use meri ḳhamiyon ka suragh

vo meri zaat ki miTTi phaTak chuka hai bahut

bata de manzil-e-maqsud ka nishan us ko

ki apni raah se insan bhaTak chuka hai bahut

usul-e-mai-kashi ‘ma.asum’ ko sikha.en na aap

vo pi chuka hai bahut aur bahak chuka hai bahut

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdullah-javed

Chandni Raat Mein Har dard Sanwar Jata Hai

poet

Kal Ai Aashob-E-Nala Aaj Nahin

poet

Badla Hua Hai Rang-E-Gulistan Mere Liye

Mere Wajud Ko Usne Ajab Kamal Diya

poet

Mera Dil Chaak Hua Chaak-E-Gareban Ki Tarah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet