jab bhi taqdir ka halka sa ishara hoga
asman par kahin mera bhi sitara hoga
dushmani niind se kar ke huun pashemani men
kis tarah ab mire khvabon ka guzara hoga
muntazir jis ke liye ham hain kai sadiyon se
jaane kis daur men vo shakhs hamara hoga
main ne palkon ko chamakte hue dekha hai abhi
aaj ankhon men koi khvab tumhara hoga
dil parastar nahin apna pujari bhi nahin
devta koi bhala kaise hamara hoga
tez-rau apne qadam ho gae patthar kaise
kaun hai kis ne mujhe aise pukara hoga
Leave a Reply