tah-ba-tah hai raaz koi aab ki tahvil men
ḳhamushi yuun hi nahin rahti hai gahri jhiil men
main ne bachpan men adhura ḳhvab dekha tha koi
aaj tak masruf huun us ḳhvab ki takmil men
har ghaḌi ahkam jaari karta rahta hai ye dil
haath bandhe main khaḌa huun hukm ki ta.amil men
kab miri marzi se koi kaam hota hai tamam
har ghaḌi rahta huun main kyuun be-sabab tajil men
mangti hai ab mohabbat apne hone ka subut
aur main jaata nahin iz.har ki tafsil men
mudda.a tera samajh leta huun teri chaal se
tu pareshan hai abas alfaz ki tavil men
apni ḳhatir bhi to ‘alam’ chiiz rakhni thi koi
ab kahan kuchh bhi bacha hai teri is zambil men
Leave a Reply