badan ke mausam-e-barsat men nahin aana
visal karna hai jazbat men nahin aana
muamalat-e-mohabbat huun main ghulam tira
pe jan-e-man teri har baat men nahin aana
ajiib ruuh ki shadi hai ek ruuh ke saath
kisi bhi jism ko barat men nahin aana
ham aadhi raat ke ba.ad apne saath rahte hain
ḳhayal rakhna bahut raat men nahin aana
Leave a Reply