nahin saaqi ka saghar ka qamar ka
sahara chahiye teri nazar ka
musafir kyuun na rasta bhuul jaa.en
ishara mil gaya shams-o-qamar ka
kabhi parvaz par tha zo.am ham ko
bharosa ab nahin hai bal-o-par ka
mujhe to chaak ki gardish ne Dhala
hua hai naam saara kuza-gar ka
bayan kab raushni main kar sakungi
jo qissa muḳhtasar hai raat bhar ka
Leave a Reply