kuchh main kah baiThun ḳhuda-na-ḳhvasta
maulvi sahab ḳhuda ka vasta
yaad aati hai to bhar aata hai dil
zindagi ki mahfilen barḳhasta
chandi sona do magar hon beTiyan
zevar-e-ta.alim se arasta
apni Thokar par hai ḳhvabon ka safar
kaun si manzil kahan ka rasta
chand taare dil jalane aa.e hain
sham-e-gham arasta pairasta
Leave a Reply