raat kab azim-e-safar na hui
vaqt ki baat thi sahar na hui
jis se taqdir apne bas men ho
aisi tadbir umr bhar na hui
rahbar kab hua na tera ḳhayal
kab tiri yaad ham-safar na hui
dard uTha bad-nasib dil baiTha
ye to sab kuchh hua sahar na hui
un ko dekha Tapak paḌe aansu
dastan aur muḳhtasar na hui
do jahan duur the qarib tha main
meri janib kabhi nazar na hui
rahm aaya kabhi na un ko ‘sa.id’
sham-e-gham ki kabhi sahar na hui
Leave a Reply