thaki hui mamta ki qimat laga rahe hain
amiir beTe dua ki qimat laga rahe hain
main jin ko ungli pakaḌ ke chalna sikha chuka huun
vo aaj mere asa ki qimat laga rahe hain
miri zarurat ne fan ko nilam kar diya hai
to log meri ana ki qimat laga rahe hain
main andhiyon se musalahat kaise kar sakunga
charagh mere hava ki qimat laga rahe hain
yahan pe ‘meraj’ tere lafzon ki aabru kya
ye log bang-e-dara ki qimat laga rahe hain
Leave a Reply