mast huun muttaqi nahin huun main
kaam ka aadmi nahin huun main
mujh ko duniya ki fikr lahaq hai
ya.ani koi vali nahin huun main
tere me.aar ka to duur ki baat
tere matlab ka bhi nahin huun main
maz.hab-e-ishq ka payambar huun
haan magar aḳhiri nahin huun main
Dar nahin paas aa mire pyare
nuur huun raushni nahin huun main
muqtada huun main roz-e-avval se
kafira! muqtadi nahin huun main
aam se kuza-gar ka beTa huun
gaanv ka chaudhari nahin huun main
mujh pe thoḌa sa ghaur kar ‘tahsin’
huun to phir aarzi nahin huun main
Leave a Reply