• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Baad-E-Murdan Ki Bhi Tadbir Kiye Jata Hun

Baad-E-Murdan Ki Bhi Tadbir Kiye Jata Hun

mushafi-ghulam-hamdani

baad-e-murdan ki bhi tadbir kiye jaata huun

apni qabr aap hi taamir kiye jaata huun

chain mutlaq nahin padta shab-e-hijran men mujhe

subh tak nala-e-shab-gir kiye jaata huun

afv par afv ki rezish hai udhar se har dam

aur main taqsir pe taqsir kiye jaata huun

us ke kuche men jo dekhega karega mujhe yaad

apni surat ki main tasvir kiye jaata huun

uth ke ta-kucha-e-laila se na jaave ye kahin

paanv men qais ke zanjir kiye jaata huun

koi le jaae ise ya ki na le jaae pa main

nama-e-shauq ki tahrir kiye jaata huun

us ka kya jurm mire hosh gae hain kaise

jo alam ghair pe shamshir kiye jaata huun

pesh jaati nahin yuun bhi miri us se har-chand

sharr-o-makr-o-fan-o-tazvir kiye jaata huun

naqsh-e-hub chaal se nikal hai miri is khatir

main pari-zadon ki taskhir kiye jaata huun

‘mushafi’ yaar tu sunta nahin aur vahshi sa

haal ki apne main taqrir kiye jaata huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

khiDki Se Zara Jhank Le Ek Bar Mere Yar

Yakayak Aks Dhundlane Lage Hain

waseem-barelvi

Kuchh Itna Khauf Ka Mara Hua Bhi Pyar Na Ho

Sau Uljhanon Ke Beach Guzara Gaya Mujhe

Jab Teri Yaad Ke Rangon Se Bana Li Humne

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet