kisi se kya kahen sunen agar ghubar ho gae
hamin hava ki zad men the hamin shikar ho gae
siyah dasht khaar se kahan do-char ho gae
ki shauq-e-pairahan tamam taar taar ho gae
yahan jo dil men daagh tha vahi to ik charagh tha
vo raat aisa gul hua ki sharmsar ho gae
aziiz kyuun na jaan se ho shikast-e-aina hamen
vahan to ek aks tha yahan hazar ho gae
hamen to ek umr se padi hai apni jaan ki
abhi jo sahilon pe the kahan se paar ho gae