
Hashim Raza Jalalpuri
maz.hab-e-ishq men shajara nahin dekha jaata
ham parindon men qabila nahin dekha jaata
lashkar-e-ḳhvab kisi taur utar ankhon men
raat bhar niind ka rasta nahin dekha jaata
surma baap ne talvar bhi girvi rakh di
haath men bachchon ke kaasa nahin dekha jaata
tum mire yaar ho kaise main hara duun tum ko
mujh se dushman ko bhi paspa nahin dekha jaata
is zamane ko faqat maut nazar aati hai
Dubne vaale ka jazba nahin dekha jaata
ai azizo! mujhe miTTi ke havale kar do
mujh se ab jism ka malba nahin dekha jaata
jab se dariya pe hua pyaas ka qabza ‘hashim’
lab-e-dariya koi pyasa nahin dekha jaata

Leave a Reply