sharik-e-gham koi kab mo’atabar nikalta hai
siva.e dal ke so vo be-ḳhabar nikalta hai
ye kaisa shahr hai kaisi hai sar-zamin us ki
jahan ki ḳhaak palaTta huun sar nikalta hai
jidhar hain pyase udhar barishen hain tiron ki
jidhar ghanim hai dariya udhar nikalta hai
use ḳhabar hai ki zulmat hai saf-ba-saf har-su
ujala haath men le kar sipar nikalta hai
hafiz hathon ka saaya hai sa.eban jaisa
yaqin hota hai dil ko na Dar nikalta hai
ajiib dhund hai dasht-e-safar pe chha.i hui
na ḳhatm hota hai rasta na ghar nikalta hai
‘mujibi’ saunp di jis ko mata-e-jan main ne
usi ka qarz mire naam par nikalta hai
Leave a Reply