miri ḳhaak us ne bikher di sar-e-rah ghubar bana diya
main jab aa saka na shumar men mujhe be-shumar bana diya
tira naqsh utra sar-e-varaq to tasarruf-e-lab-o-chashm se
bhare rang main ne kuchh is tarah ise shahkar bana diya
tire juzv juzv ḳhayal ko rag-e-jan men puura utaar kar
vo jo baar baar ki shakl thi use ek baar bana diya
mujhe nang-e-naqsh hi kab kiya bharin us ne aisi siyahiyan
ki mire hi kucha o shahr men mujhe ishtihar bana diya
ye nahin ki us ne durida-tan sar-e-naḳhl-e-ḳhar piro diya
miri dhajjiyon ko bhi khinch kar mujhe taar taar bana diya
Leave a Reply