• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hamare Zehn Mein Mahshar Bapa Hai Kya Kiya Jae

Hamare Zehn Mein Mahshar Bapa Hai Kya Kiya Jae

hamare zehn men mahshar bapa hai kya kiya jaa.e

ye dil amada-e-tark-e-vafa hai kya kiya jaa.e

musalsal barish-e-sang-e-sada hai kya kiya jaa.e

yahi meri vafaon ka sila hai kya kiya jaa.e

labon tak aa ke sab harf-e-shikayat TuuT jaate hain

ajab andaz se vo dekhta hai kya kiya jaa.e

bichhaḌ kar aap se jiine ki ḳhvahish kufr hai lekin

hamari zindagi hi be-haya hai kya kiya jaa.e

ye maana ḳhvab hai ai zaḳhm-e-nau teri ḳhalish lekin

yahan pahle hi ik mela laga hai kya kiya jaa.e

hamesha sochte rahna bhi kuchh achchha nahin hota

magar sha.ir hamesha sochta hai kya kiya jaa.e

vo insan jo mira hamraz hai ham-zad hai ‘qaisar’

vo mujh se aaj tak na-ashna hai kya kiya jaa.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Na Gire Kahin Na Hare Hue Kai Sal Se

Kisi Ke Hijr Mein Qurban Raat Karte Hue

Hansi Ki Aankh Mein Phaila Nami Ka Rang Dekha Hai

Tujhse Girwida Yak Zamana Raha

poet

Kaisi Hai Aah Apni Tabiat Bhari Hui

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet