• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sulagti Ret Pe Aankhen Bhi Zer-E-Pa Rakhna

Sulagti Ret Pe Aankhen Bhi Zer-E-Pa Rakhna

kishwar-naheed

sulagti ret pe ankhen bhi zer-e-pa rakhna

nahin hai sahl hava se muqabla rakhna

use ye zom ki aghosh-e-gul bhi us ki hai

jo chahta hai parindon ko be-nava rakhna

subuk na ho ye nigah-dari-e-junun ham se

ye dekhne ko use samne bitha rakhna

bikhar na jaana jarahat-navazi-e-shab par

masham-e-jan ko abhi khvab ashna rakhna

vo fursaten ki jinhen ahaton ki khvahish ho

unhen jaras ki tamanna se ma-siva rakhna

tamam manzar-e-jan us ki khvahishon se bana

vo khvab hai to use khvab men saja rakhna

udasiyon ko to angan hi chahiye khali

chhaton pe chandni raton ka silsila rakhna

vo jab bhi aaya bahut tez barishon jaisa

vo jis ne chaha mujhe surmai ghata rakhna

bas ik charagh masafat ka bojh sah lega

sukhan ke biich talabgari-e-vafa rakhna

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil Ki Aawaz Mein Aawaz Milate Rahiye

Jalti Hui Ruton Ke KHaridar Kaun Hain

Dil Mein Rahe Wo shaKHs Ragon Mein Rawan Na Ho

Zikr-E-Nashat KHalwat-E-Gham Mein Bura Lage

shahryar

Mabad-E-Zist Mein But Ki Misal Jade Honge

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet