hansna rona paana khona marna jiina paani par
paḌhiye to kya kya likkha hai dariya ki peshani par
mahngai hai daam milenge socha tha ham ne lekin
sharminda ho kar lauTe hain ḳhvabon ki arzani par
ab tak ujḌe-pan men shayad kuchh nazzaron laaeq hai
varna jamghaT kyuun umda rahta hai is virani par
raat jo ankhon men chamke jugnu main un ka shahid huun
aap bhale charcha kariye ab suraj ki tabani par
sub.h-savera daftar biivi bachche mahfil ninden raat
yaar kisi ko mushkil bhi hoti hai is asani par
us ki sapnon vaali pariyan kyuun main dekh nahin paata
bachcha hairan hai mujh par main bachche ki hairani par
ek achhuta manzar mujh ko chhu kar guzra tha ab to
pachhtana hai ḳhud men duube rahne ki nadani par
ham fankaron ki fitrat se vaqif ho tum to ‘akhilesh’
maqsad samho ruk mat jaana bas lafzon ke ma.ani par
Leave a Reply