nafs namrud hai kya hona hai
shirk maujud hai kya hona hai
kashf maqsud hai kya hona hai
haal mafqud hai kya hona hai
sajde hote hain kise o ghafil
kaun maabud hai kya hona hai
chhod duniya-e-dani ka pichha
is se kya suud hai kya hona hai
hast-o-bud-e-tan-e-khaki ik din
nist-nabud hai kya hona hai
saaf hota ki ho az-khud rafta
raah masdud hai kya hona hai
dekhiye hashr ko kaise guzre
roz-e-mahud hai kya hona hai
chahiye masjid-e-aqsa men namaz
dair masjud hai kya hona hai
man-o-salva jise ham samjhe hain
zahr-alud hi kya hona hai
garmi-e-ishq-o-nihal-e-hasti
atish-o-ud hai kya hona hai
jauhar-e-ruh tan-e-khaki men
kya gul-andud hai kya hona hai
jo ki mansur ke pesh aaya tha
vahi maujud hai kya hona hai
khud parasti ki buri hai surat
abd maabud hai kya hona hai
ai ‘saba’ dekhiye vo parda-nashin
kis se khush-nud hai kya hona hai
Leave a Reply