jism ke is khañDar kī tanhā.ī
aur ye raat bhar kī tanhā.ī
ek tasvīr bhī nahīñ ghar meñ
uf ye dīvār-o-dar kī tanhā.ī
koī aahaT na koī saaya hai
har qadam hai safar kī tanhā.ī
ek aalam ko hai sameTe hue
merī fikr-e-nazar kī tanhā.ī
merī sāñsoñ meñ bas ga.ī jaise
jān-o-dil kī jigar kī tanhā.ī
kitnī bezār hai ye mausam se
samar-āvar shajar kī tanhā.ī
dekhtā hai nikal ke sūraj roz
ye mire bām-o-dar kī tanhā.ī
raat din rote hai dar-o-dīvār
khā ga.ī mujh ko ghar kī tanhā.ī
zindagī ke safar meñ ai ‘arpit’
dekh lī dar-ba-dar kī tanhā.ī