tujhe ḳhabar hai tujhe satata huun is bina par
tu bolta hai to haz uThata huun is bina par
mira lahu meri astin par laga hua hai
main apna qatil qarar paata huun is bina par
kabhi kabhi haal ke haqa.eq mujhe sata.en
main apne maazi men rahne jaata huun is bina par
vo apni ankhon se dekh kar mera ilm parkhen
main apne bachchon ko sab batata huun is bina par
use banaya hai main ne ye kam nahin kisi se
charagh suraj ko main dikhata huun is bina har
vo us men rahta hai apna kirdar DhunDhta hai
main har kahani use sunata huun is bina par
mujhe ḳhabar hai vo sar ta-pa sha.iri hai ‘taimur’
ghazal ka hissa use banata huun is bina par
Leave a Reply