chalo ye to hadsa ho gaya ki vo sa.eban nahin raha
zara ye bhi soch lo ek din agar asman nahin raha
ye bata ki kaun si jang men main lahuluhan nahin raha
magar aaj bhi tire shahr men koi mujh ko maan nahin raha
ye nahin ki meri zamin par koi asaman nahin raha
magar asman kabhi mire tire darmiyan nahin raha
shab-e-hijr ne havas aur ishq ke saare farq miTa diye
koi charpa.i chaTaḳh ga.i to kisi men baan nahin raha
sabhi zindagi pe farefta koi maut par nahin shefta
sabhi sud-ḳhor to ho ga.e hain koi paThan nahin raha
na labon pe gham ki hikayaten na vo be-ruḳhi ki shikayaten
ye itaab hai shab-e-vasl ka ki main ḳhush-bayan nahin raha
isi be-ruḳhi men hazar ruḳh hain purane rishte ke sahibo
koi kam nahin hai ki jaan kar bhi vo mujh ko jaan nahin raha
Leave a Reply