• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Raushni Karne Aaya Tha Suraj

Raushni Karne Aaya Tha Suraj

raushni karne aaya tha suraj

saa.e dekhe to Dhal gaya suraj

parda jab bhi haTaya khiḌki se

mere kamre men aa gaya suraj

aa ga.e ham chhaton se kamron men

aur hamen DhunDhta phira suraj

chandni bhi udaas lagti hai

mujh ko viran kar gaya suraj

raat ne badban khol diya

apna saman le gaya suraj

saara din kaan bajte rahte hain

har kiran hai tiri sada suraj

ek main hi nahin huun duniya men

tera sab se hai rabta suraj

koi divar bhi nahin haa.il

tera darbar hai khula suraj

saans teri hai sab ke sinon men

sab tujhi se hai silsila suraj

mera tera muqabla kaisa

main to huun ghar ka ik diya suraj

aaj ka din ‘ḳhalil’ kya guzra

aaj dil se utar gaya suraj

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tere Ahl-E-Dard Ke Roz-O-Shab Isi Kashmakash Mein Guzar Gae

siraj-aurangabadi

Aaya Piya Sharab Ka Pyala Piya Hua

Leta Hun Tera Nam Har Ek Nam Se Pahle

Rifaqat Mein Rafiqon Ki Riya-Kari Bhi Shamil Hai

Zist Be-Asra Na Ho Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet