gham-e-janan se rangin aur koi gham nahin hota
ki is ke dard men ehsas-e-besh-o-kam nahin hota
vo hain kam-zarf jin ka shor-e-nala kam nahin hota
chaman men phuul bhi to hain unhen kya gham nahin hota
kamal-e-zabt-e-girya azmat-e-shan-e-mohabbat hai
chhalak jaa.e jo paimana vo jam-e-jam nahin hota
yahan tak dil ko aadat ho ga.i hai be-qarari ki
sukun-e-zindagi men bhi taḌapna kam nahin hota
tumhari yaad hi ke saath dhaḌkan baḌh ga.i dil ki
tasavvur se mizaj-e-husn to barham nahin hota
ḳhizan ki uljhanen gulchin ka khaTka hai magar phir bhi
kali ka baagh men lutf-e-tabassum kam nahin hota
kuchh aisi baat hai sayyad jo ham muskurate hain
nahin to ashiyan luTne ka kis ko gham nahin hota
na jaane kyuun tumhare gham ko duniya gham samajhti hai
masarrat se to is ka martaba kuchh kam nahin hota
‘figar’ is gulshan-e-hasti ka ibrat-ḳhez aalam hai
ki shabnam ro rahi hai gul ka hansna kam nahin hota
Leave a Reply