• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bazm Mein Zikr Mera Lab Pe Wo Lae To Sahi

Bazm Mein Zikr Mera Lab Pe Wo Lae To Sahi

sheikh-ibrahim-zauq

bazm men zikr mira lab pe vo laae to sahi

vahin malum karun hont hilae to sahi

sang par sang har ik kuche men khaae to sahi

par bala se tire divane khaae to sahi

go janaze pe nahin qabr pe aae vo miri

shikva kya kiije ghanimat hai ki aae to sahi

kyunki divar pe chadh jaun koi kahta hai

paanv katunga angutha vo jamae to sahi

para-e-mushaf-e-dil the tire kuche men pade

aate paanv ke tale shukr ki paae to sahi

saaf be-parda nahin hota vo ghurfa men na ho

rauzan-e-dar se kabhi aankh ladae to sahi

gah badhata hai gahe mah ko ghatata hai falak

par shab-e-hijr ko ham dekhen ghatae to sahi

karun ik naale se main hashr men barpa sau hashr

shor-e-mahshar mujhe sote se jagae to sahi

gir pade the kai us kuche men dil ke tukde

aate paanv ke tale shukr ki paae to sahi

the tumhin nikle jo us dam-e-bala se ai ‘zauq’

varna the pech men us zulf ke aae to sahi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh

rumana-rumi

Tere Sath Chalti Hun Ek Jahan Jata Hai

poet

Fughan-O-Ah Se Paida Kiya dard-E-Judai Ko

Mujhko Har Phul Sunata Tha Fasana Tera

Baja Ye Raunaq-E-Mahfil Magar Kahan Hain Wo Log

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet