lazzat ki intiha par
us ki siskiyan
duniya ke tamam qaumi taranon se zyada
mausiqi rakhti hain
jinsi amal ke dauran
vo kisi bhi malika-e-husn se zyada
khuub qarar pa sakti hai
us ke blueprint ka cassette
hasil karne ke liye
kisi bhi fasad-zada ilaqe tak jaane ka
khatra liya ja sakta hai
sirf us se milna
na-mumkin hai
Leave a Reply