• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wahi Na-Saburi-E-Arzu Wahi Naqsh-E-Pa Wahi Jada Hai

Wahi Na-Saburi-E-Arzu Wahi Naqsh-E-Pa Wahi Jada Hai

ada-jafarey

vahi na-saburi-e-arzu vahi naqsh-e-pa vahi jaada hai

koi sang-e-rah ko khabar karo usi astan ka irada hai

vahi ashk-e-khun ke gulab hain vahi khaar khaar hai pairahan

na karam ki aas bujhi abhi na sitam ki dhuup ziyada hai

abhi raushni ki lakir si sar-e-rahguzar hai jan-ba-lab

kisi dil ki aas miti nahin kahin ik daricha kushada hai

tan-e-zakhm zakhm ko chhod de mire charagar mire mehrban

dil-e-dagh daagh ka hausla tiri marhamat se ziyada hai

jo nazar bacha ke guzar gae to na aa sakoge palat ke tum

badi mohtaram hai ye bebasi ki khulus-e-jan ka libada hai

yahi zindagi hai buri-bhali ye kashida sar ye barahna-pa

na ghubar-e-rah se muzmahil na sukun-e-jan ka iaada hai

mira iftikhar vafa talak mujhe raas aa na saka ‘ada’

tira naam jis par likha raha vo kitab aaj bhi saada hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet, Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

adeel-zaidi

Mohabbat Ki Saza Pai Bahut Hai

Mujhko Taqdir Ne Yun Be-Sar-O-Asar Kiya

Koi Apne Waste Mahshar uTha Kar Le Gaya

poet

Aap Ke Izn-E-Mulaqat Se Ji Darta Hai

poet

Kya dil Hai Agar Jalwa-Gah-E-Yar Na Howe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet