lahu men tar ye dayar bhi dekhna hai ik din
mujhe tira iḳhtiyar bhi dekhna hai ik din
guzarna hai ek raste se hava ki surat
charagh ko sogvar bhi dekhna hai ik din
talash karni hai ashk aur a.ine men nisbat
kisi ki ankhon ke paar bhi dekhna hai ik din
abhi to duniya ki sard-mehri se laḌ raha huun
suluk-e-parvardigar bhi dekhna hai ik din
niyam se tegh bhi mujhe khinchni hai ‘shahzad’
aur apna dil taar taar bhi dekhna hai ik din
Leave a Reply